Aadami ko jab koi lat( aadat) pad jati hai aur voh usake aadhin ho jata hai .vo vastu us samay par na mile to voh bechain ho jaye ,usake hath pair usake control me na rahe,nirasha aa jaye.ya unmad aa jaye ,vo chij ya drinks,tablet ,vastu,khana,na milane par tanao aa jaye to use ham addiction ka nam de-dete hai.

          Jara sochiye aap ke ghar me jab kisi ko physical bimari hoti hai,aap aur aap ka pura pariwar usaki seva me lag jata hai achhe se achhe doctor ko dikhata hai.usake thik hone tak logo ka behavior badal jata hai.Agar khuda na khasta use lakava mar jaye.ya cancer ho jaye ya accident me usaka koi ang katana pade to aap ko unaki janm bhar seva karani padegi.Aap chahe ya na chahe seva to aap ko karana hi padega.

            Ab jara sochiye jo Addict hai unaki bimar emotional hai jisaka jakhm ekdam gahare me hai.unake subconscious mind me hai.jo enaki chal-chalan enaka vyohar badal deta hai.parantu yeh bimari hame dikhai nahi deti parantu visibal physical bimari se jyada jakhmdar aur khatarnak hoti hai.parantu ham use nam de dete hai,ek labal laga dete hai' yeto aise hi hai'seva ke bajay tane marate hai.jakhm par namak dalate rahate hai.

          physical handicapped ko ham accept karate hai,parantu emotional handicapped ko ham shirf labal lagakar chhod dete hai.kyoki voh dikhai nahi deta.jabaki use jyada jaroorat aapake pyar aur dehbhal ki hoti hai