Body pain aaj kal sabse aam samasya ban gayi hai. Kisi ko subah uthte hi poora sharir dukhta hai, kisi ko kamar dard, kisi ko ghutno ka dard, kisi ko kandhe aur gardan ka dard. Kabhi ye dard 2-3 din me chala jata hai, aur kabhi mahino tak bana rehta hai.
Body Pain Ke Mukhya Kaaran:
1.
Vitamin D Aur
Calcium Ki Kami
Sharir me Vitamin D kam hone se haddiya kamzor hoti hai, muscles me dard, pairon me dard, kamar dard aur thakan hoti hai. Ye sabse bada kaaran hai.
2.
Vitamin B12 Ki Kami
B12 kam hone se haath-pair me jhanjhanahat, kamzori, chakkar aur naso me dard hota hai.
3. Galat Baithne Aur Sone Ka Tarika
Lambe samay tak ek jagah baithna, mobile jhuk kar dekhna, galat takiye par sona - isse gardan, kamar aur kandhe me dard hota hai.
4. Sciatica / Nas Ka Dabna
Kamar se dard nikal kar kulhe se hote hue pair ke neeche tak jata hai. Chalne, jhukne par dard badh jata hai. Ise Sciatica kehte hai.
5. Arthritis / Gathiya
Jodon me sujan, akdan aur dard. Subah uthne par jod jam se lagte hai. Thand me ye dard aur badh jata hai.
6. Zyada Mehnat, Thakan Aur Stress
Neend poori na hona, tension, zyada kaam, vajan badhna - isse bhi poora sharir dukhta hai.
7. Purani Chot Ya Acidity Wali Dawaiya
Bahut se log dard ki dawai baar-baar lete hai. Usse dard to dab jata hai, lekin pet me acidity, gas aur nuksaan hota hai. Dard ki jad wahi rehti hai.
Kab Doctor Ko Dikhana Chahiye?
- Dard 7 din se zyada rahe
- Dard kamar se pair tak ja raha ho
- Haath-pair me sunnapan ya jhanjhanahat ho
- Subah uthne par sharir jama hua lage
- Dawai chhodte hi dard wapas aa jaye
Aise me dard ko ignore nahi karna chahiye.
Homeopathy Me Body Pain Ka Ilaaj Kaise Hota Hai?
Homeopathy me sirf dard ko dabaya nahi jata, uski jad par kaam kiya jata hai.
Homeopathy me poori history dekhi jati hai - Vitamin D, B12, neend, acidity, kaam karne ka tarika, purani bimari - sab kuch samajh kar dawai di jati hai.
Isse faayda ye hai:
- Dard dheere-dheere jad se kam hota hai
- Baar-baar dard wapas nahi aata
- Acidity ya side-effect nahi hota
- Haddiya, naso aur muscles ko taqat milti hai
Agar aapko bhi lambe samay se body pain, kamar dard, ghutno ka dard ya sciatica hai, to sahi samay par sahi salah lena bahut jaruri hai.
- Dr. U.K. Shukla
BHMS, MD (Homeopathy)
Advance Health Care Clinic, Mathpurena, Raipur
Next Steps
Body Pain Kyu Hota Hai? Kaaran, Lakshan Aur Homeopathy Me Sahi Ilaaj