Aapke husband ka BP ab 96/67 aur 115/82 aa raha hai, matlab dawa zyada pad rahi hai - garmi mein aisa hota hai kyunki pasine se paani aur namak nikal jata hai. Aise BP par teen dawaiyan full dose mein continue karna theek nahi, chakkar aane ya girne ka risk badhta hai. Lekin dose khud se half karna bhi galat hai - kaun si dawa kam karni hai ye ECG,
kidney function aur home BP readings dekh kar decide hota hai.
Next Steps
Aaj se subah aur shaam BP likhna shuru karein - 7 din ka record banayein, aur namak-paani jab bhi BP 100 se neeche ho. Agar chakkar aaye, dhundhla dikhe ya wo behosh jaise lagein to turant hospital le jaayein. Ye 7 din ka chart le kar mere saath Practo par consult book karein ya Synergy Multispeciality Hospital, Miraj aa jaayein - main dose safely adjust kar dunga, aap khud dawa half na karein.