Yes, ye zyadatar hair follicle ki hi kahani hai â folliculitis, jo waxing/threading/shaving ke baad ubharta hai aur khud baith jaata hai. Us area me pasina, ghisav aur bacteria milkar baar baar chhota pus wala dana banate hain. Agar ye baar baar exact ek hi jagah aata ho, tailbone ke paas ho, aur beech me baal dikhein to pilonidal sinus bhi socha jaata hai â uska ilaaj alag hota hai. Loose cotton innerwear, roz snaan ke baad achhi tarah sukhana, waxing ke turant baad kam ragad â itna hi bahut madad karta hai. Dabakar phodna bilkul mat kijiye.
Next Steps
Hygiene aur loose clothing 2 hafte try kijiye. Agar dana bada ho, dard/sujan bade, pus ya khoon aaye, ya bar bar wahi jagah aaye to ek baar dikhana zaroori hai â mujhse Practo par consult kar lijiye, photo dekhkar batata hoon folliculitis hai ya sinus.